usay main nain hi likha tha
keh lahjay barf ho jayain
to phir pigla nahi kartay
prinday dar k urh jayain
to phir lota nahi kartay
usay main nai hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayad
kabhi wapis nahi aata
hawaoon ka koi tufan
kabhi barish nahi lata
usay main nai hi likha tha
k sheesha toot jaye to
kabhi phir jurh nahi pata
jo rastay say bhatak jaye
wo wapis murh nahi pata
usay kehna wo bay mani adhoora khat
usay mai nai hi likha tha
usay kehna k deewanay
mukammal khat nahi likhtay







LinkBack URL
About LinkBacks
Quote

Bookmarks