Socha tha is kadar unko bhool jayenge
Unko dekh kar bhi andekha kar jayenge
Par jab chehra samne aaya unka
to socha isbar dekh le agli baar bhool jayenge
This is a discussion on kuch sad shayriiiiii My fav within the Ghamgheen Shayari forums, part of the Sheer-o-Shayari category; Socha tha is kadar unko bhool jayenge Unko dekh kar bhi andekha kar jayenge Par jab chehra samne aaya unka ...
Socha tha is kadar unko bhool jayenge
Unko dekh kar bhi andekha kar jayenge
Par jab chehra samne aaya unka
to socha isbar dekh le agli baar bhool jayenge
nice sharing emo
Yaad toh har koi karega jaane ke baad
sache pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad
kaun kitni mohabbat karta hai
nazar aa jayega mar jaane ke baad
Is do pal ki zindagi mein tanhai kyu hai?
Logon ko humse ruswai kyu hai?
Is duniya mein insaan kam to nahin
Phir mere saath sirf meri parchai kyu hai?
Tu kar de ek ishara mera pata bata de
kahne ko to jindgi hume bhi mili hai
par tu jine ki ek wajah bata de
tere dil me ab bhi mera aashiyana basta hai
labjo se n sahi aankhon se hi jata de
Tu kar de ek ishara mera pata bata de
Dil na lagana kisi se
dard hi paoge
biti baato ko yaad karke
rote hi nazar aaoge
karni hai to sirf DOSTI karo
Hamesha ummid se Dugna paoge![]()
zindagi kya koi nisaar kare
kisse duniya me koi pyaar kare
apna saaya bhi apna dushman hai
kaun ab kiska aitbaar kare
Woh aye the hamari zindagi me jane ke liye
Pooja tha hamane unhe, na sirf chahne ke liye
Ab kaise kehde thukra diya unhone humme zamane ke liye
Jab Kabil hi na samja unhone humme tukhrane ke liye
Har dhadkan mein ek raaz hota hai
har baat ko batane ka ek andaz hota hai
jab tak thokar na lage bewafai ki
har kisi ko apne pyaar par naaz hota hai
Tere chehre ko dekh ke makhboot ho gaya hai
Tujhe chahnaa hamara naasoot ho gaya hai
Kisi ke ishq me marne ka iraada mazboot ho gaya
Hamara janaaza hamare pyaar ka saboot ho gaya hai
Matt sochna qabr me jaake yeh shayar sukoot ho gaya ha
Kaash tujhe na payaa hota
to aaj khone ki naubat na aati
Kaash teri khushiyo me na shaamil hota
to aaj gam se ye suhbat na aati
Kaash tujhe dekh ke na jiyaa hota
to aaj maut ki raghbat na aati
Kaash tujhe na dekha hota
to aaj marne ki naubat na aati
Khastah khastah
bikhar gaya yeh dil
Sar basar zindagi me
gum ho gaya daakhil
Gum ke saath mehfil-e-sayari me
ab ho gaya shaamil
Maut ko gale lagane ke liye
shayad ab ho gaya kaabil
Mere khuda bas tu itna reham kar de
Dil ye mera tu pathar kar de
seh na payenge hum yaar ki judaai
Uske rukhsat se pehle mujko dafan kar de
Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai
kyun roti hai kambakht yeh ankhe
kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai
Kya socha tha
aur kya ho gaya
Jise chaha tha
wohi anjaan ho gaya
Manzile to mili bahut si
par unka nisha kho gaya
Bookmarks