Lamha lamha yaad aata hai pechli rut ka saath tumhara
har mousam main tarpata hai pechli rut ka saath tumhara
ab k bhe wo rut aae hai shayed wo bhe lout he aaey
keh keh k ye behlata hai pechli rut ka saath tumhara
jab bhe teri yaad say aagay barhna chahoun tu dil mera
pher say aankh main lay aata hai pechli rut ka saath tumhara
tera rasta taktay taktay aankh k manzar sard hoey yun
har manazar main dar aata hai pechli rut ka saath tumhara
waisay tu bedardi jena mushkil ho jana tha lekin
saansain har dam mehkata hai pechli rut ka saath tumhara
aas umeed k depak saray dheray dheray bujh jatay hain
en ko pher sulgata hai pechli rut ka saath tumhara
zaat k es zindaan main Safi bikhri werani k dar say
har pal cheekhta chillaata hai pechli rut ka saath tumhara







LinkBack URL
About LinkBacks
Quote

Bookmarks