EID-E-MILAD UN NABI SALLALAHU ALAIHE WASSALAM KA SABOOT QURAN-O-HADITH AUR AQWAL-E-MUHADESEEN SAY
This is a discussion on Munkiren-e-Milad ki nayi kahani within the Islam forums, part of the RELIGION category; EID-E-MILAD UN NABI SALLALAHU ALAIHE WASSALAM KA SABOOT QURAN-O-HADITH AUR AQWAL-E-MUHADESEEN SAY...
EID-E-MILAD UN NABI SALLALAHU ALAIHE WASSALAM KA SABOOT QURAN-O-HADITH AUR AQWAL-E-MUHADESEEN SAY
Last edited by The_Dark_Knight; 11-04-2008 at 03:53 PM.
Kia Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim nain ya sahaba ya 4 khalifaon ya Ali raiz Allah ano nain kabhi Muhammad Sallaho Alaihi Wasallim nain salgira manai?
^^ App kay sawal maiN eak Addition kerta chalooN, 12 Rabi-ul-Awal kay dinooN main akser molvi yeh misra buhat duhratay haiN, Manatay haiN sabi milad, magr shaitan nahi manata.
Ab na tu milad key rasomaat Aswa-e-Rasool (SAAW) say sabit haiN aur na'hi App (SAAW) kay Ashaab (RZA) kay dor maiN aisi koy riwayat hay... tu iss misray ka kya matlab howa...??
Lahol Wala quwat.
Yay to unki salgira manana huwa. Saligira to ungraiz manatay hain her saal. Jo kay aik shaitani kaam hai. (munh chupa kar boling. apni salgira manati hoon cake khanay kay liaay, Cake bohat pasand hai isliaay per yay manti hoon salgira manana yani kafrion ki taqleed karna kafiron kay mutradif hai).
milad k maenay kiya hain..?? salgirah... aur salgirah manana islam main haram hai.., aur jo log manantay hain aur dusron ko bhi targheeb detay hain aur jo nahi manata usay bura bhala kahtay hain.. wo jawab day hongay ALLAH k huzoor,, INSHALLAH...
aik baat aur arz karta chaloon..
balkay rehnay dain us ka reference nahi hay mere pas filhal, reference k sath bataonga...
munkareen-e-milad say sirf ek question aghar answer hai tu do nahi tu kal tak app ki posts delete hon gi.
1. Kya rasool allah ne ya quran ne milad-e-mustafa manane say mana farmaya ?
Aghar mana farmaya tu saboot dein.
ham tu nahi ker saktay , App sirf do kaam karaiN ( Ju kay maiN daway say keh sakta hooN kay app kabhi nahi karaiN gay)
1) uper pochay gay sawalooN kay jawab day daiN
2) Quran, Sahi Hadees and/r sunnat, Aswa-e-Sahaba (RZA) say sabit ker daiN kay Milaad manana ja'iz hay.
Kaash kay app meray daway ko ghalat sabit ker daiN...
Nabi Kareem Sallallahu Alaihai Wasallam ne jo kia Usko karna sunnat hai aur jo nahi kiya usko na karna sunnat hai. Kyonke Nabi Kareem Sallallahu Alaihai Wasallam ne kabhi apni BIRTH DAY nahi manayi isliay milad na manana sunnat hai. Aur manana BIDAT hai.
Bralvi Nabi Kareem Sallallahu Alaihai Wasallam ki wafat ke din JASHAN kyon mantay hain. Aunke iss dunya se chalay janay ki khoshi main?
Yaar mujhe jiss baat ka shakh tha woh sahi nikli app sab bilkul......... khair chorain!!!
Meine app say pocha na ke bhai hum aik kam karty hai MUBAH SAMAJH kar Mubah woh kam hai jiss ko nah karain tu gunnah nahi milta aur kar lain tu sawab hai.
Tirmadi Shareef ki Hadith mein hai ke Rasool Allah sallalahu alahie wassalam ne farmaya Allah aur Uss ke Rasool ne jo halal kiya woh halal, jo haram woh haram aur jiss ke bary mein koi hukm nahi woh tum per muaf hai.
Abb app say mein yeh pochta hon ke Segrit peena Jaiz hai ya najaiz ? iss ka jawaz Quran-o-Hadith say lain.
Hum yeh nahi kehty ke Jo Milad nahi manata woh kafir hai laikin itna zaror kehty hai ke Gumrah hai ke uss ko Nabi ki aamid ki khushi nhi hoti.
App aisa karain ke Quran o Hadith say MILAAD Shareef ko nah manane ka saboot lai aain.
Jo Riwayt Wahabi pesh karty hain ke Rasool Allah ki wafaat 12 Rabi-ul-Awal ko hai aur Hazrat Aisha say riwayt hai woh bilkul JHOOTI hai aur uss ki koi asal nahi.
Aur Waisy bhi Humare Nabi zinda hai app logh jo marzi kaho.
aur meine jo pocha uss ka bhi koi jawab dain.
Milad Kabhi maya hi nahi gya. Isliay iss bidat ko sabit nahi kia ja sakta. Jo Nabi Karemm Sallallahu Alaihai Wassalam ke BIRTH DAY manatay hain. Woh isko Hadees se sabit karain.
Milad ko Mubah kis nay kiya, iss say pehli dafa kis nay manaya, Imam Abu Hanifa ya baqi kay aima iss baray maiN kya mo'qaf rakhtay haiN, kuch roshni DalaiN gay app iss per...
Yani jisay Nabi (SAAW) kay aanay key khushi nahi, woh Muslmaan kaisay howa? kindly explain, jab kay bukhari key hadees hay kay Jab kisi shakhas kay liya App (SAAW) key zaat sab say zyada ahem na ho jaye even kay woh App (SAAW) ko apnay maa baap aur degr rishtay darooN per tarjeeh day aur un say sab zyada muhabat karay...
Ab app keh rahay haiN eak mubah amal ( baqool app kay) ko na kernay walay kay karay maiN app ka guman hay kay ussay App (SAAW) kay amad key khusi nahi? aap key batooN maiN buhat zyada contradiction hay, infact mera khayal hay kay app khud nahi jantay kay app kehna kya chah rahay haiN...
Bookmarks