can anyone tell me Quran Pak mai jo sajda e tilawat aata hy usey kesy adaa kerty hyn
This is a discussion on Sajda e Tilawat within the Islamic Question and Answer forums, part of the Islam category; can anyone tell me Quran Pak mai jo sajda e tilawat aata hy usey kesy adaa kerty hyn...
can anyone tell me Quran Pak mai jo sajda e tilawat aata hy usey kesy adaa kerty hyn
normal jaisay namaz may sajda kia jata hai waisay he Sajda-e-Tilawat bhi ada kia jata hai...Agr aik sajda aya hai doran-e-tilawat to ap Jaye namaz per aik bar sajda ada ker dejiyay ga ya phir jitnay sajday ayay hein unhe apko ada krne hoga
namaz ki halat me jab ap namaz pare hote hian or sajda tilawat ajata hai ya ap namaz me tilawat kete we sajda tilawat parlete hian to osi qawt pale sajda karna hota hai namaz me khare khare ALLAH HOAKBAR kate hoye sajde may chale jaye or 3 dafa SUBHANA RABI YALALLAH pare or phir ALLAH HOAKBAR kate hoye wapis khare ho jaye or sajda tilawat se age wali ayat shoro kare or baki namaz wase he jase ap par te hain simple hai bhoot.....
ALL THE BEST..........![]()
but jab hum sirf Quran parh rhay hin tab???? or kia ik se ziada sjde sath kiye ja sakkty hyn???
Good question Mahira.
I also have confusion about this I think a little bit.
Ussi waqt sajda karna chahyay meray khiaal main wo sentence khatm hotay hi. Sub say bahtareen hain.
Tilawat kay waqt hamain samnay say quran hata kar jaaynamaz par kharay ho kar Allahu Akbar kah karnon ko haath laga kar ruku kar kay sajda karna chahyay (main nain aik ko is tarha kartay daikha jub say samajh naheen ai)
Ya
Musalla bichaya us pay baithay aur sajda kar lia.
Ya
Allah o Akbar kia aur sajday main chalay gaay.
Ya
aap jahan bhi baithay hain khuwah aap ka rukh qiblay ki taraf rukh ho kay na ho aap quran pay hi sajda kar lain.
ya
agar aap kursi ya bed pay parh rahay hain to forun table pay sajda kar lain. qibla rukh hon kay na hon
Aik say ziada kia aap jitnay bhi sajtay kar lain utna achcha hai. Baad main bhi kar lain to achcha hai Sub say bahtareen forun sajda kar lain.
hmm jazak allah nice information
Aghar sirf Quran ka Sajda tilawat karna ho tu uss ke liye sirf dil mein niyat kar lain aur Allah-hu-Akbar keh kar direct sajda mein chalay jain aur 3 dafa Subhana Rabi-al-Ala par kar uth jain iss sajda ke liye nah start mein apne Kano (Ears) ko hath lagane ki zarorat hai aur nah end mein salam pheerne ki zarorat hai.
nice comments dark night
dark bhai yeh Fiqh kia hota hai
Bhai Fiqh woh hota hai ke Jinn Masail ka Quran-o-Hadith mein Tafseel say zikr nahi ya phir kuch masail per Quran-o-Hadith mein bilkul zikr nahi kiya gaya tu unn masail ke hall ke liye hum Fiqh ko dekhty hein yani jaisy aik Banda ka Roza hota hai aur uss ko Ulti ho jati hai tu iss ki puri Detail aghar humein Quran-o-Hadith mein say nahi milti tu hum dekhain gai ke Ulama ne iss baray mein kya farmaya iss cheez ka name fiqh hai.
aur Fiqh ka saboot Quran say milta hai ke Allah ne Irshad farmaya '' Aghar tum nahi janty tu tum ilm walon say pocho ''
Iss liye hum Ulama ki taraf rajo karty hain aur unn say apne inn masail ka hall pochty hain.
bhai Fiqh woh hota hai ke Jinn Masail ka Quran-o-Hadith mein Tafseel say zikr nahi ya phir kuch masail per Quran-o-Hadith mein bilkul zikr nahi kiya gaya tu unn masail ke hall ke liye hum Fiqh ko dekhty hein yani jaisy aik Banda ka Roza hota hai aur uss ko Ulti ho jati hai tu iss ki puri Detail aghar humein Quran-o-Hadith mein say nahi milti tu hum dekhain gai ke Ulama ne iss baray mein kya farmaya iss cheez ka name fiqh hai.
aur Fiqh ka saboot Quran say milta hai ke Allah ne Irshad farmaya '' Aghar tum nahi janty tu tum ilm walon say pocho ''
Iss liye hum Ulama ki taraf rajo karty hain aur unn say apne inn masail ka hall pochty hain.
thankx a lot dark bhai
Bookmarks