main app say namaz parhanay kay treqay kay barey main guidence chahta hon kyoun kay kuch log ruku aur sajday main janay say pehlay rafa"yden(kanon tak hath lay kar jana) kartay hai aur kuch nahin kartey.hamain kya krna chaheyay?
This is a discussion on namaz ka sahi tareqa within the Islamic Question and Answer forums, part of the Islam category; main app say namaz parhanay kay treqay kay barey main guidence chahta hon kyoun kay kuch log ruku aur sajday ...
main app say namaz parhanay kay treqay kay barey main guidence chahta hon kyoun kay kuch log ruku aur sajday main janay say pehlay rafa"yden(kanon tak hath lay kar jana) kartay hai aur kuch nahin kartey.hamain kya krna chaheyay?
hmmm wasay too quran main kahee per bhi namaz k tarika nahi beyan keyaa gaya hai
per joo sunnat tareka hai iss main rafa den ka kahee zikar nahi hai main iss maslak ka
name leyna yaha munasib nahi samajta per hum muslim main say hee aik firka asay hai
joo namaz main sajdai aur ruku say phalai rafa den karta hai
wo log batatay hain kay saheeh bukhari main ahadees hain aur ye such hai kay saheh bukhari kay chapter characteristics of prayers main hai.
ASLAMO ALEKUM!
Imam-e-Azam Hazrat Abu Hanifa Razi allah tallah unho ke mutabiq rafah yadien nahi karni chahiey merey khial se. agar aap hanafi hain yani ke in imam ke peroqar hain to aap ko rafah yadein se baz rehna ho ga.
mazeed info k liey aap apne sawal pooch saktey hain.
balkaal teek kaha bismillah ji nay ... jasay k main nay kaha ta ka alaag alaag maslaik hai muslim main to ann main say aik firkaa asay hai joo iss taraha namaz adahaa kartaa hai
laikin ahadees ko bagheir daleel kay radd bhi to nahin kar saktey.
farz karen app say ko ghair mukalad kuch is baray main pochay to app ko ussay koi daleel dene paray gi bahgair daleel kay to koi nahin man sakta.
Aslamo Alekum!
jahan tak mujhe aap ke is sawal ki samjh ayi hai, merey khial se is ka jawab kuch is tarah banta hai k, pehle to ap ko yeh samjana hoga k jab allah ek hai, us ka rasool salalaho alehey wasalm ek hain, quran ek hai, islam ek hai to phir islam mein 4 imam aissey kyon hain jin ki wajah se log mukhtalif mukhtalif tareeqey se ibadat karte hain?
dhekiey yeh jo charon imam hai yeh sab sahi hain kyon ke yeh charon imamon ki wajah se nabi paak salalaho alehey wasalm ki sari sunnaton par amal hota hai.
masal k tor par, kabhi nabi paak salalaho alehey wasalm namaz partey waqat apne haath naaf ke neechey bandetey they aur kabhi apne haath seeney par rakhatey they.
sochiey k islam mein agar sirf ek hi imam hota aur sarey musalman us ki pervi kartey yani ke namaz partey waqat sari duniya k musalman apne haath naaf ke neechey hi bandetey, to is tarah se nabi paak salalaho alehey wasalm ki ek sunnat par amal hona tha baqi jo un ki sunnatein thien un par shaed koi bhi musalman amal na karta, kyon k sare musalman ek hi imam ke peechey chal rahe hain to phir sare musalman wohi karenge na jo k us imam ke nazdeeq sahi hai. to shaed is liey islam mein 4 imam hain ta k nabi paak salalaho alehey wasalm ki sari sunnaton par amal ho sakey. is liey kuch musalman poorey sar ka masah karte hain aur kuch sar k chotahi hissey ka masah karte hain, aur yeh dono hi sahi hain kyo k sare sar ka masah karna bhi sunnat hai aur chotahi sar ka masah karna bhi nabi paak salalaho alehey wasalm ki sunnat-e-mubarka hai.
isi liey kuch ahadees aap ko aissi milengi jin mein sunnat to ek hogi lekin us sunnat par amal karne ke mukhtalif tariqey hongey. jaissey k wuzu, kuch log wuzu mein poorey sar ka masah kartey hain kuch sirf sar k chand baal giley kar letey hain, kyon k yeh dono apne imamon k mutabiq chal rahey hain.
agar mujhe kuch samjane mein samjaane mein kuch galti ho gai ho to please meri sullah kara dijiey ga!
Last edited by bismillah; 10-11-2008 at 09:29 PM.
thank u is say pata chala kay agar rafayadeen karien to bhi theek hai na kare to bhi theek hai right.
Nahi nahi, Sab se Pehle to aap ko yeh decide karna hoga keh aap kiss in 4 Imamon mein se aap kiss ki pervi karna chahti hain, yani k aap kiss imam ke fiqey ke mutabiq chalna chahti hain. 4 imam yeh hain:
1-) Imam-e-Azam Hazrat Abu Hanifa Razi Allah Tallah Unho, in k manane walon ko Hanafi Kehte hain.
2-) Hazrat Imam Shafi Rehm Tullah Alehey, in ke Manane walon ko Shafi kehtey hain,
3-) Hazrat Imam Malik Rehm Tullah Alehey,in ke manane walon ko Maliki kehtey hain,
4-) Hazrat Imam Ahmed Bin Hanbel Razi Allah Tallah Unho, in ke manane walon ko Hanbli kehtey hain.
Aap sirf in 4 mein kissi ek ke mutabiq hi chal sakti hain, aissa nahi karna k kuch tareeqey imam shafi se liey aur kuch imam malilki se.
farz karein k, agar aap imam shafi ke mutabiq chalna chahti hain to aap ko namaz, wuzu wagaira wagaira sab imam shafi ke mutabiq hi karna ho ga jaissa k unhon ne kaha hai.
Aissa nahi karna k, jo cheez aap ko kissi hanbli k han asan lagi aap ne wo kar li aur jo cheez kissi maliki k han asan lagi wo kar li.
Raffah Yadein...
http://i38.tinypic.com/205pd6r.gif
http://i36.tinypic.com/15fpzd5.gif
http://i35.tinypic.com/9pozef.jpg
http://i36.tinypic.com/ruz3p1.jpg
Nabi pak alaislam kay du'r mai sahaba kiram rizwanullah ajmaneen ko jo bhee masla darpaish hota wo Nabi pak alaislam say pooch laitay aur us pay amal kartay .. Aap alaislam kay wisal e zahiri kay baad baaz sahaba kiram rizwanullah ajmaeen bhee aur dosray musalman bhee aisay Sahaba rizwanullah ajmaneen say jo buhat ilam walay thay aur Nabi pak alaislam say ziada ilam seekhnay ki waja say aur apnay ilm e quran o hadis ki waja say mumtaz thay, naiay naiay masa'il ka hal un say poch kar un kay fatwo pay amal kartay.. maslan Khulafa e Rashideen, Syedina Abdullah ibne Abbas , Syedina Abdullah ibne Umar raziAllah anhum aur aisay buhat say sahaba rizwanullah ajmaeen mumtaz muqam kay hamil thay jin say baad mai paida honay walay aksar musalman rahnumai hasil kartay rahay.. isi tarah yei silsila chalta raha kay musalmano mai har da'ur mai aisay loag maujood rahtay jin say dosray musalman faiz o hidayat hasil kartay aur apnay masail kay leay in ki taraf rujoo kartay... zahir hai aaik aam musalman tu is qabil nahe kay apnay har maslay ka hal Quran or Hadis say nikal lay (maslan telephone jab aaijad howa ab yei ulema e fiqh he bata saktay hain kay is ka kia hukm hoga ) is kaam kay leay aisay Aalim ki zarorat hai jo uloom e deen ka mahir ho aur Halal haram ko janta ho aur aisay tamam uloom ko janta ho jin ki zarorat hoti hai ..in buhat say ulema mai say chand Ulema buhat he ziada mash'hoor howay in kay buhat shagird howay aur kaseer loago nay in kay ilm ko du'r dur tak pohnchaya jin mai say 4 Imam e Azam Abu Hanifa , Imam Shafai , Imam Malik aur Imam Ahmed bin Hanbal rahmatullah alaihim ka naam qabil e zikr hai kay in charo ki shuhrat buhat he ziada howi..aur is tarah yei mazahib e arba'a (4 mazahib yani rastay) sari dunya mai mashoor howayAb jo musalman Imam Shafai kay masail o fatawa pay amal paira hai wo Shafai kahlata hai isi tarah Imam Malik ki nisbat say Maliki , aur Imam Ahmed bin Hambal ki nisbat say Hambali aur Syedina Imam e Azam Abu Hanifa
Nauman bin Sabit raziAllah anho jo taba'een mai say hain aap kay muqallid (aap ki pairwi karnay walay) Hanafi kahlatay hain dunya mai majority muslims Ahlesunnat wal jamat hain aur Ahle sunnat wal jamat mai say majority muslims fiqa e Hanafi kay man'nay walay hain..yei charo Mazahib e Ahlesunnat wal jamat khaltay hain aur charo he haq hain in mai aqa'id ka koi ikhtilaf nahee sab ka aqida aaik hai tareeka e aamal mai ashia ki fazeelat mai aur makrooh mubah waghaira mai baaz ikhtlifat hain tu jo jis Imam ka muqallid hai apnay Imam kay qaul (yani jo Imam kay nazdeek bahtareen tareeka aur jo imam ka fatwa hai ) pay amal karay inshaAllah us kay leay wo kafi hai kyu kay jaisa misal ooper dee aam musalman ulema say he pochta hai aur ulema kay qaul pay bharosa karta hai aur Allah azzawajal ka bhee yehi
hukam hai kay jo cheaz na pata ho wo Ahle ilm say pocho Sheikh Abdul Qadir Jeelani raziAllah anho Ha'nbali mazhab pay amal kartay thay aur aap kay silsila roohani mai jo aap kay mureed hain wo Hanafi bhee hain Shafai bhe hai Maliki bhee hain Hambali bhee hain wo aap ki mureedi ki waja say Qadiri kahlatay hain aap kay naam ki nisbat say.....
Qadiri koi fiqa ya mazhab nahee balkay Tarikat (Roohaniyat) ka aik silsila hai jaisay Chishti Suharwardi
Naqshbandi waghaira jab koi musalman Allah azzawajal ki marifat Allah azzawajal ki ebadat aur wilayat kay rastay pay chalta hai tu wilayat ki manzilain tay karwanay kay leay usay murshid ki zarorat aur rehnumai chaheay hai tu jin kay rahnuma o Murshid Sheikh Abdul Qadir Jeelani raziAllah anho hain wo Qadiri kahlatay hain..
Last edited by bismillah; 10-12-2008 at 08:00 PM.
lakin bhai jann jahan tak mujhay pata hai kay muqallad ka matllab kissi ki perwi karna baghair kissi dallel kay so is ka matllab kay agar app imam abu hanefa ko follow kartay ho to beshaq us maslay ki koi dallel na ho par phir bhi app usay follow karen ankh band kar key.is baray main imam abu hanefa nein bhi kaha tha kay agar meri kitab main koi bhi ghalti nikal aai to meri kitab ko dewar par mar do that means kay hamin atleast wo ahadees ya aayat check to karni chaheya aya wo theek hai ya nihin agar theek hai to beshak imam haneefa ko follow karo magar dill main itmenan to ho ga na.
asalamo alekum!
duniya mein kitne hi karooron sunii aey jinhon ne Imame Azam Abu Hanifa razi allah tallah anho ko folow kiya, aur mein se kitne hi aulia karam aey aur aaj tak, jahan tak mujhe maloom hai, kissi ko koi bhi galti nahi mili un k fiqey mein.
lekin agar aap phir bhi pard ka dil ki tasali karna chahti hain. to aap mujhe us kitaab ka naam bataiey aur jaissey hi wo mujhe net par miley gi mein aap ko send kar don ga.
by the way aap konsi hadees/ayat check karne ki baat kar rahi hain?
asalamo alekum!
main aik genreral si bat kar raha tha kay agar banda tasali kar lay to acha hai.
kiss baat ki tasali aap chahti hain?
jaisay surah bani israel main allah farmata hai"aur jis ka tujhay ilm na ho us ki perwi na kar"
surah baqrah "keh do agar sachay ho to dallel pesha karo"
rasool allah nain farmaya"teen cheezon say bacho
1 alim ki ghalti say
2 munafiq ka quran lay kar jhagra karna
3 aur duniya jo tumhari gardanon ko katay gi
rahi allim ki bat to agar wo hidayat par bhi ho to deen main us ki taqleed na karo aur agar wo phisal jai to us say na umeed na ho jai"
zahir hai kisi bhi insan say ghalti ho sakti hai jab tak wo rasool na ho. is liay keh raha hon ho sakay to quran aur hadees say dallel check kar leni chaheyay waisay bhi to hum faltoo kam kartay rehtay hain is say acha hai quran aur ahadees ka mutlia bhi ho jai ga aur shaq agar hai to wo bhi door ho jai ga.
Bookmarks