tohmaten chand apne zimme dhar chale
jis liye aye the so ham kar chalezindagi hai ya koi tufan hai
ham to is jine ke hathon mar chalekya hamain kam is gulon se ai saba
ek dam aye idhar udhar chaledosto dekha tamasha yan ka sab
tum raho khush ham to apne ghar chaleah bas ji mat jala tab janiye
jab koi afsun tera us par chaleshama ki manind ham is bazm main
chashm-nam aye the daman-tar chaledhundte hain ap se usko pare
sheikh sahib chor ghar bahar chaleham jahan main aye the tanhawale
sath apne ab use lekar chalejun sharar ai hasti-e-bebud yan
bare ham bhi apni bari bhar chaleek main dil resh hun waisa hi dost
zakhm kitnon ka suna hai bhar chaleham na jane paye bahar ap se
wo bhi are a gaya jidhar chalesaqiya yan lag raha hai chal chalo
jab talak bas chal sake sagar chale"Dard" kuch malum hai ye log sab
kis taraf se aye the kidhar chale







LinkBack URL
About LinkBacks
Quote


Bookmarks