tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekhamera guncha-e-dil hai woh dil-girifta
k jis ko kaso ne kabhi wa na dekhaaziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq main ham ne kya kya na dekhakiya mujh ko dagon sarw-e-chiragan
kabho tu ne akar tamasha na dekhatagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekhahijab-e-rukh-e-yar the ap hi hamshab-o-roz aye "Dard" darapai hun us ke
khuli ankh jab, koi parda na dekha
kaso ne jise yan samjha na dekha







LinkBack URL
About LinkBacks
Quote




Bookmarks