Assalamo Alaikum Dear Members aaj aap lOgO k Saath 2 video Share kar raha hOn jO nam nihad muSalmano ki hai jinho nay baray Owlian ki Qabro kO sirf apnay faiday k liyeh uSe kia hai Or humaray kOch bewaQoof Musalman bhai On k Chakkar may phans gayih hain aap iS video kO dekain Or batayeh k agar eSsay halat hOngay tO kia mazarO par khud kush hamlay hOngay ya nahi aik baat OR bata dOn k is video may aik 2 jaga galian hain to Os par may mazrat karta hOn lkn is kO Share kiyeh bagari in mardOodo k Chehro say parda nahi Otay ga jizakAllah Jahalat Ki Inteha Part One Jahalat Ki Inteha Part Two
noor mujy to bht duk or rona araha hay ye jahalat dek kar,kuda garq karay in shetano ko,ameen sache sharam saay sar jhoka k ruk diya hay in moshriko nay. kuda hamara khatma iman ki halat may karay,ameen suma ameen
Astaghfar is vdo ko dekhne k bad aisa lgta hai k ye jo suicide attacks ho rahy hain in ka waqai koi haqeeqi maqsad hai ye begunnah makhloq nahe hai inho ne itny baray gunnah kiye hain k ALLAH pta nae kaisay bakhshayga inhe or phr ALLAH muaf karey ye mje ksi dhamal se xiada koi dance club lag rha hai jahan log galia sun ker or bhi josh may a rahy hain or mardon k sath sath ortain bhi kum nahe hain ALLAH sb ko muaf karey or hidayat dy khasoosan is budhay ko jo logon ko pagal bana ker paisay lapait rha hai thanko 4 sharing noor acha howa k ap ne asliyat sb k samne rkh di
u right us,qasam say mera bs nae chal raha k is budday ko kis tara pance par char hao? u right us,hamaray apnay siyah amal he ki waja say humay itne zillat ki mout naseeb horahe hay, najanay kitnay log in mazaro par shirqiya kam kartay hay? jub hum kuda k ghazab lanay walay kam karen gay gay,to pir kuda ka azab to aye ga,kabe earth quick ki sorat may,kabe selab,to kabe aye din bomb blast... kuda sab ko hidayat day,ameen or iman ki halat may mout naseeb farmae,ameen
thx mujhe aap Sab ka replay phar kar buhut khuShi hOih hai kiOn k mera maQsad Such kO aap k Samnay lana tha Or Allah ka Shukar hai aap Sab iS Such kO pehChan gayih hain baSs dua karain k hum Sab kO Allah iman k Saath iS dunya Say Otayeh jO iman k Saath gaya wOhi kamyab hai baki Sab tO yehi reh jayeh ga Allah mujhe aap kO Or tamam Alam k tamam MusalmanO iman ki dOlat Ata karain Ameen
nice sharing Noor Bhai.... agree with all of the above members, mashaAllah sub ne bohat achhe views diye hain...., yeah baat bilkul bhee ghalat naheen hai keh aaj jo hum mushkilaat maen ghirey hue hain unki sub se main reason yeahi hamare ghalat amaal hain, hum logon ke paas namaaz parhne, zikar azkaar karne ke liye to time hota naheen hai laikin aisee jahaalat maen mashghool hone ke liye hum dunya ko bhee chhor dete hain. Allah ta'laa hum sub ko deen ki samajh ataa farmaye, or Huzoor salallah-o-alaeh-e-wasallam ki sunnat or sahabah karaam ki tarz-e-zindagi naseeb farmaye, ameen. isee maen hamari baqaa or aakhirat maen kamyaabi ki zamaanat hai.
no,wo to Abdulla shah ghazi k mazar par howa ta,ye karachi say bahir sehwan shareef may hazarat LAL SHABAZ QALANDAR ka mazar hay,or yaha ye sab hota hay, but pakistan may jitnay b mazar hay,waha yahe sab kuch hota hay, noor bhai nay bht talk haqeqat say parda utaya hay..
agree with you yeah eik talkh haqeeqt he hai, log to jahaalat maen iss se bhee kai gunaa barh chuke hain..... Allah ta'laa hum sub ko naik hidayat dai, ameen
ameen, ab kud he bataye jub asay kam mosalmano may hongay to Allah ka ghazab aye ga ya nae aye ga????????
Astaghfirullah...waqai me jahalat ki inteha ker di gai hai in videos me...Allah hidayet de aise jahilon ko...
well i have seen now noor bhai . ye jo kuch bhi hai is se bari shirk ki misal nahi milti. ye sub bhatke huwe hain .ye sub jahil hain . muslim kehlane ke laik bhi nahi lagte . but noor bhai i m adding one thing more ke sirf yahi nahi yahan mazaroon pe buhaat kuch aur bhi hota hai mean chars pi jati hai har terha ke nashe kye jatey hain , zina bhi aam hai, log pata nahi kya kya karte hain kehte huwe bhi sharam ati hai . magar main phr bhi mazaroon pe bomb blast ya kaheen bhi bomb blast ki mukhalfit karta hon . kyon ke aise logon ko hidayat deni chaye . hum main se koi uthey mean pakistan main se ya kaheen se bhi koi muslim aur in ki deeni islah karni chaye. aise logoon ki waja se ache log bhi marey jatey hain jin ka koi kasoor nahi hota. mere nazdeek unki jaan lene se behtar un ki islah karni zaroori hai kyon ke mar ke is terha ke mushrik aur bhi peda honge jab ke islah karne se hum muslims mazboot honge. jab aap Hazrat Muhammad s.a.w dunya main tashreef laye toe arab ki kya halat thi aap sub jante hain. Magar unhoo ne apne ache ikhlaq aur amal se dunya badal di logoon ko badal dya. Unhoo ne kabhi kisi kafir tak ko jaan se marne ki baat nahi ki . Fattah makkah main unka kirdar pori dunya ke samne hai ke unhoo ne kis terha sub kafiroon ko maaf farmaya. Just humen chaye ke aise mushrikoo ko naik amal aur naik rah batayen aur Allah se duwa Karen ke Allah inki hidayat farmaye Aameen. Aap sub khud dekh sakte hain in bomb blast ki waja se muslims ko pori dunya main kis nazar se dekha ja raha hai. Har taraf kitni mushkilat ka samna hai . Allah Humen Akal Aur iman ki mazbooti ata farmaye aur in mushrikoon ko Allah hidayat de Aameen