Life Stages And Attitude(question Of The Week! (10th September 2012)!

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ok here i cum wid my answer, plz parh k bore mat hoyieh ga sab:p
kher, jitna mujhe yaad hai jab main choti thi abt 7-8 yrs old or may b 9-10 tab main bot sensitive aur khamosh c thi. koi b baat kahe tou fatt se rona start kar deti ya agar koi baat meri marzi k khilaaf ho tou ghussa aur sad ho k beth jaati. like main sab subjects main kaafi zaheen thi but english bot kamzor thi aur roz teacher kehti k aainda sabaq yaad kar k aana , n u know wahan tou rattay laganay parte hain lol, per english kabi zehen main nai aati tou ek din teacher ne kaha k kal agar sabaq nai aaya tou main tumhain is stick se maaroongi aur main bas us stick ko dekh k hi darr gai, aur rona start kar diya. us k baad wo skool b chor diya aur doosra skool join kar liya. zidd nai karti thi aur na hi kabi battameezi, but main kuch kahay baghair bas naraz c ho jaati:D darti b bot thi​
kher Primary k baad jab main High skool aai tou kaafi change ho gai, yahan bot saari frnds b banai aur is skool ka mahol b esa tha k kuch hi months main mera behavior amazingly change ho gaya. pehle main dari c aur chup rehti but abi main aur meri best frnd, hum dono poore skool main shararten karti thin;;) in fact teachers se b frndship ho gai thi aur almost sabhi skool ki girls jaanti thin. yahan aa kar mera rawaiyya ya nature keh len, esi ho gai k main har waqt mazaq aur fun k mood main rehna chahti thi,. jab tak main doosron se koi funny baat ya joke suna k unhain hasa nai loon mujhe chain nai milta tha. pehle primary main baqi larkiyon se darti thi, per abi agar koi mujhe kuch kehti tou main un se face to face baat kar k khamosh karati, sumtimes tou larti b thi. ab tak ki life main ye pehla accha change tha jis main mene life ko bot enjoy kiya:)
den jab idhar aaye tou mahol change tha, log b so yahan aa k main wapis thori khamosh rehne lagi, lekin ziyada arsa nai raha esa, soon jab meri frnds bani tou mera rawaiyya pehle jesa ho gaya. lekin ab main sirf frnds se hi hasi mazaq karti thi, baqi class walon se, ya ghar main kabi hasi mazaq nai kiya. yr11 tak esa raha, but jab main college main aai, tou mahol change hone ki wajah se, study environment aur teachers frndly the, plus hamari outdoor activities b barh gai tou is mere mind pe accha asar para. pehle se ziyada khush rehna start kar diya aur teachers se n class main baqi sab se b hasi mazaq karti. is ka suboot b yeh hai k jab mene TM join kiya ya baqi sab jo mujhe shurooh se jaante hain idhar wo jaante hain how i was like:) tab zehen b itna bachpana sa tha aur main thi b thori bewakoof, internet world/community ka itna experience b nai tha is liye main har ek se jaldi frank ho jaati, yehi wajah k kaafi dafa unexpected b hua aur yahin se mene cheezon pe dhayan dena shurooh kiya, bot kuch naya seekhne ko mila n all.​
magar idhar members se mera rawaiyya still bot frndly tha, n many members like RR, Pari, Farry n others know k main kabi kisi ko sad nai hone deti thi, aur kabi khud b nai hui. aur hoti b is liye nai k kabi b kisi baat pe ziyada deeply nai socha, agar koi preshani ki baat ho b tou mein apna zehen acchi aur khush gaqar baaton ki taraf kar deti , aur kuch hi der main patah b nai chalta k koi baat hui b ya nai.​
anyways, us k baad wen i turned 19 or may b between 19-20, tab se meri life ka worse part start hua, may b ALHAMDULILLAH life pehle se better hui hai, balki alot better, but m talking abt nature wise, maine har baat ko bot closely lena start kar diya, choti choti baat ko negative lena start kar diya, hasne ka jab mood hota tab has deti, aur choti choti baat pe rona. in short k meri bachpan wali sensitivity wapis aa gai:D. kher main fir v koshish karti k pehle jesa hasoon, mazaq karoon aur is koshish main kamyab b rahi.​
mere poori life stages k muqaable i consider k abi mujh main ziyada maturity aai hai, har baat ko deeply aur us k kahi pehlu'on se dekhti hoon, sahi ghalat ki pehchan/tameez aa gai hai, per is k oppposite main agar koi b sad news, kisi ka ghalat rawaiyya , ya esa kuch dekh looon ya sun loon tou wo baat mere zehen se chipak c jaati hai, aur us pe pooora poora din balki itne din sochti rehti hoon. balki agar koi c b baat ho, even acchi b (like yahan Islam main ya kahi aur threads lagti hain jin main hamare liye lesson ho) tou us pe b sochti hoon k is baat ka kya matlab, kese , kyun vaghaira vaghaira.​
agar main kuch ghalat karoon tou mujhe ghanton us pe malaal sa rehta hai k mene esaa kyun kiya, jab k pehle main kuch b karti, kabi us pe ghaur nai kiya balki jo hua so hua wali baat thi.​
anyways, many people say to me now k main bot boring ho gai hoon, bot chup c hoon n all:) but to me i like myself this way, jis main acche buray ki tameez ho, manners hon, samajdari etc ho. i do laugh sometimes, n i do jokes with TM Members n my frnds also, but jab mujhe lagta hai k kisi baat pe hasna hai tab, warna bilawajah ka hasna pasand nai mujhe. m getting closer to my religion, which never was before.​
may b aage se mere behavior main aur changes aayen, but i dunno k kese hongay woh. sumtimes halaat ki wajah se hamare nature/behavior/soch pe effects aate hain, aur sumtimes age ki wajah se, so letz c​
but at the end, one word ALHAMDULILLAH :)
MASHA ALLAH :-bd
u perfectly got my question ,,,aur bohat detail se nicely jawab diya..
last two stages to main bhi daikh chukki hun aap may :p
ALHAMDULILLAH :)
stay blessed n happy {()|asf
 
  • Like
Reactions: Nelli and ~Unknown~

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb...
sawal acha hai......
life is all about learning....marte dam tak insan kuch na kuch seekh raha hota hai......aur har stage par insan apne past se ibrat leta hai

pichle stages mei mai kesa tha..woh batane ka waqt nahi abhi.....
but on a serious note..i would like to drop off some words....

In net life, mere asal rawayye ko bht hi kam log note karpaate hein..mostly sab sarru samjhte hein...aksar females se mai bht sakht rehta hon...not coz mujhe shoq hai.....but thats the way its supposed to be......jo mujhe izzat deta hai..mai usey apne ap se bhi ziada izzat deta hon..aur jo nahi bhi deta..pher bhi mera dil saaf rehta hai uske lie....

In real life......I am open heart, joyful and enjoys every moment of life.......and IT IS DAMN TRUE....yes kuch tensions rehti hein...aur woh mai close logo se share karta hon.....coz its a part of life....agar life perfect hogi to insan, insan nahi rehta.....

thats all :)
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
  • Like
Reactions: ~Unknown~

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
aray nahi..woh elaborate karne par bhaga tha
oooopsh kaam chor :p[DOUBLEPOST=1347692988][/DOUBLEPOST]waise PF bro sachi sachi btayain Maine ach likha tha na kal waala thread :p
kabhi tareef bhi kar diya karin behan ki ;))
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
oooopsh kaam chor :p[DOUBLEPOST=1347692988][/DOUBLEPOST]waise PF bro sachi sachi btayain Maine ach likha tha na kal waala thread :p
kabhi tareef bhi kar diya karin behan ki ;))
haan....mai to has has ke parh raha tha..usse pehle mai lagatar 6 hrs accounting ki book read kar raha tha...dimaag ki batti band hogae thi...pher yeh thread dikha to jo parha tha..woh bhi dimaag se bahar :|
isse ziada ab aur kia tareef karoon
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hahahaha :p
actually thread likha aise gya tha k aap k siwa sabko samajh aaye :p
aapko samajh nhi aayi issi liye apa itna ghussa karing subha se
rubi ko q daanta/:)
haan....mai to has has ke parh raha tha..usse pehle mai lagatar 6 hrs accounting ki book read kar raha tha...dimaag ki batti band hogae thi...pher yeh thread dikha to jo parha tha..woh bhi dimaag se bahar :|
isse ziada ab aur kia tareef karoon
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
hahahaha :p
actually thread likha aise gya tha k aap k siwa sabko samajh aaye :p
aapko samajh nhi aayi issi liye apa itna ghussa karing subha se
rubi ko q daanta/:)
danta lazmi tha...aur jhoot mooth ka danta tha...thori akar to dikhani parti hai na...akhir kar meri yahi pehchan hai behnao_O
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
danta lazmi tha...aur jhoot mooth ka danta tha...thori akar to dikhani parti hai na...akhir kar meri yahi pehchan hai behnao_O
magar aap ziada strict ho gaye,,rubi ka mood khrab ho gya tha!
itna bhi kia akar dikhana aisa kia kiya rubi ne likha to sab kcuh maine meko daant k dikhayain /:) :p
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
magar aap ziada strict ho gaye,,rubi ka mood khrab ho gya tha!
itna bhi kia akar dikhana aisa kia kiya rubi ne likha to sab kcuh maine meko daant k dikhayain /:) :p
ab mood kharab karne ki gurantee mai to nahi leisakta.....jab mazaq mei dare di gae thi to mai bhi mazaq mei dant nahi sakta kia......
yeh mera fault nahi..unka fault hai....
sabar rakhein..apki bari bhi aegi...
 
Top