Jo Kuch Mango Sirf Khuda Say Mango

  • Work-from-home

PakizahDuaa123

Active Member
Sep 16, 2012
211
248
43
منزل سے کچھ دور
salam everyone
aj main Quran ki tafseel parh rahi thi tu aik baat meri nazar kay samnay say guzri
tu socha is per Roshani dal doin ...

Quran mein hai kay agar kuch mangana ho Rab say tu Rasol SAW kay hawalay day kar nahi mangana chahyai

aur agar aap kisi peer wagera kay darbaar per jatay hain tu plzz kabhi bhi unkay samnay yaa khuda ko unka wasta day kar mat mangay

Agar hum islam per yaqeen rakhatay hain Rab per yaqeen hai tu kisi kay samnay haath kon phalana ?
Agar dua mango tu yeh kah kar mango kay Aya Rab tu buhat hi raheem ho ..sab kay madad Ghaaar humari madat karo ...
yeh mat kahna kay Humaray Rasul itnay naik thay aap ki itni kidmat ki tu unkay wastay humari duaa qabol kar lu ...

Agar koi insaan chahay kitna hi naik kyun naa ho Rab kay agay kuch bhi nahi hai ..aur kisi kay darbaar per jaa kar unkay samnay sajada kar kay unki qasam day kar mangana Ghuna hai

Rab nay kaha hai kay woh jo chahta hai karta hai ..dunya ka nazaam bayshaq logon kay badolat chalta hai magar unkay peechay bhi wohi hai ..agar woh chahai tu kisi doctor ko madad karnay baajh day ..warna woh hi theek bemari ka ilaaj karnay wala hai ...

Agar Qurbani karni ho tu kisi kay naam per mat karo magar sirf Allah kay ....
 

Ghazal_Ka_Chiragh

>cRaZy GuY<
VIP
Jun 11, 2011
21,050
15,086
1,313
31
Karachi,PK
Wa'alaikumussalaam anhaan very well said
ek haqeeqat yeh hai ke hum bhi pehle ALLAH ke
ilaawa auron se dua maangte the lekin jab
Quran kareem ki urdu translation parhi to
ALHAMDULILLAH saari baaten wazahat se samajh
aa gaiyn ke Quran me ALLAH RAB UL IZZAT ne kya
ehkamaat diye hain jese ke

Aur agar ALLAH tujhe koi takleef
pohnchaye to us(ALLAH)ke siwa
use koi door karne waala nahin

Surat al Ana'am ayat#17

ALLAH hi hai jisne asmanon aur zameen ko
aur jo kuch inke darmyan hai 6 dino me
peda farmaya phir arsh per qaiym huwa
tumhare use chorh kar na koi karsaz hai aur na
koi sifarishi so kya tum nasihat qabul
nahin karte

Surat al Sajda ayat#4

Beshak ALLAH un kaamon se khabardar hai
jo tum anjam dete ho aur ALLAH per bharosa
rakhiye aur ALLAH hi karsaaz kaafi hai

Surat al Ahzab ayat#2-3


aur aapka RAB hidayat karne aur
madad farmaane ke liye kaafi hai

Surat al Furqan,ayat#31

Aur jo shaqhs ALLAH per tawaqqal karta hai
to woh(ALLAH)use kaafi hai

Surat al Talaq,ayat#2

Aur ALLAH ki bargah se madad ke ilaawa
koi(aur)madad nahin

Surat al Anfaal,ayat#10

inke ilaawa aur bhi bohot se ayaat hain is mauzu per
eik aur nuqte ki baat yeh hai ke in sub ayaat ke tarjume
mene un se nahin liye jo ALLAH ke ilaawa kisi aur se dua
nahin maangte balke ye mene Irfan ul Quran
tehreek:Minhaj ul Quran yaani Tahir ul Qadri ki jaari
karda Quran e kareem ke tarajim se liye hain
 

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
اللہ تعالیٰ سے دُعا کرتے ہوئے اللہ کو ڈائریکٹ بغیر کسی واسطہ کے پکارنا چاہیے ﴿ وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ ﴾ ... سورة غافر: 60 کہ ’’تمہارا رب کہتا ہے "مجھے پکارو، میں تمہاری دعائیں قبول کروں گا۔‘‘
جب صحابہ کرام نے اس کے متعلّق نبی کریمﷺ سے سوال کیا تو اللہ تعالیٰ نے خود جواب دیتے ہوئے فرمایا: ﴿ وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِي عَنِّي فَإِنِّي قَرِيبٌ أُجِيبُ دَعْوَةَ الدَّاعِ إِذَا دَعَانِ ﴾ ... سورة البقرة: 186 کہ ’’اور اے نبﷺ، میرے بندے اگر تم سے میرے متعلق پوچھیں، تو اُنہیں بتا دو کہ میں ان سے قریب ہی ہوں پکارنے والا جب مجھے پکارتا ہے، میں اُس کی پکار سنتا اور جواب دیتا ہوں۔‘‘
 

PakizahDuaa123

Active Member
Sep 16, 2012
211
248
43
منزل سے کچھ دور
wohi tu aur sab say afsos ki baat yeh hai kay humaray mulq mein hi aisa hota hai
itnay hakeem wagera Allah kay naam per apna kaam chalatay hain aur log
educated nahi iss liye unkay agay haath kartay hain kay humari duaa karo ...
bayshaq kabhi namaz ghar mein parhi naa ho
 
  • Like
Reactions: SHAZIE and *Muslim*
Top